Enter your email address:

Delivered by FeedBurner

SHAYARI-E-DARD

Labels:

  • Is Pyar Ke Safar Mein Mera Hath Thaam Lo Manzil Per Pohanchnay Tak Kahien Dhool Na Ban Jaoun

  • Inhin Raaston Nay Jin Pay Kabhi Tum Thay Saath Meray Mujhay Rok Rok Poocha Tera Humsafar Kahan Hai

  • Itna Socha Hai Kuch Sawalon Per Barf Si Girne Lagi Hai Balon Per Rone Wale Tu Hans Nahi Sakte Log Hanste Hain Rone Walon Per

  • Shor Mein Khamoshi Talaash Karte Hai Har Chehre Mein Tera Chehra Talash Karte Hain.. Har Lamha Tujhe Yaad Karte Hain Tum Miloge Nahi Par Ek Umeed Talaash Karte Hain..!!!

  • Kis Ko Ilzaam Dein Apni Roswai Ka Kis Se Ja Kar Kahein Kurb Tanhai Ka Payar Ke Khel Mein Wasl Ki Subo Se Hijar Ki Shaam Tak Jo Tamasha Houa Oss Mein Shamil The Hum App Maqtool The Ap Katal The Hum!!

  • Ik Shaks Ko Boola Kar Ab Zindagi Humari Pehley Se Bi Ziyada Dushwar Bun Gayi Hai Hum Dar Bana Rahe The Dewaar Bun Gayi!

  • Preshaan Raat Saari Hai Sitaro Tum Toh So Jao
    Sakoot Marg Tari Hai Sitaro Tum Toh So Jao

    Hanso Aur Hanstey Hanstey Doobtey Jao Khalaoon Mein
    Hum Hi Par Raat Bari Hai Sitaro Tum Toh So Jao

    Humien Toh Ajj Ki Shub Poo Phtey Tak Jagna Hoga
    Yehi Kismat Humari Hai Sitaro Tum Toh So Jao

    Tumein Kya Ajj Be Koi Agar Milney Nhin Aya
    Ye Bazi Hum Ne Haari Hai Sitaro Tum Toh So Jao

    Kahey Jatey Ho Ro Ro Kar Humara Haal Duniya Se
    Ye Kesi Razdari Hai Sitaro Tum Toh So Jao

    Humein Be Neend A Jaye Gi Hum Be So Hi Jayeingey
    Abi Kuch Be Qarari Hai Sitaro Tum Toh Os Jao!!!!

  • Mein Aik Aansoo Hi Sahi, Hoon Buhut Anmol Magar
    Yoon Na Palkon Sey Gira Kar Mujhey Matti Mein Mila

  • Kyoon Zindagi Ki Rah Mein Mujboor Ho Gaye
    Itney Houey Kareeb Ke Hum Door Ho Gaye

    Aesa Nhin Ke Hum Ko Koi Be Khushi Nhin
    Lekin Ye Zindagi Toh Koi Zindagi Nhin
    Kyoon Oss Ke Fasley Humein Manzoor Ho Gaye

    Paya Tumein Toh Hum Ko Laga Tum Koi Kho Diya
    Hum Dil Pe Roye Aur Ye Dil Pe Ro Diya
    Pulkoon Se Khawab Se Kyoon Girey Kyoon Chor Houey

    Kyoon Zindagi Ki Rah Mein Mujboor Ho Gaye
    Itney Houey Kareeb Ke Hum Door Ho Gaye!!!

  • Main Ne Parindo Se Pyaar Kya To,,
    Woh Urh Gaya

    Main Ne Sooraj Se Pyaar Kya To,,,
    Woh Gharoob Ho Gaya

    Main Ne Chand Se Pyaar Kya To,
    Woh Badlon Main Chup Gaya

    Main Ne Pani Se Pyaar Kya To,
    Woh Beh Gaya

    Main Ne Baraf Se Pyaar Kya To,
    Woh Pighal Gaya

    Main Ne Barish Se Pyaar Kya To,
    Woh Baras K Thum Gaya

    Main Ne Aag Se Pyaar Kya To,
    Woh Bujh Gai

    Main Ne Phoolon Se Pyaar Kya To,
    Woh Murjha Gaya

    Main Ne Kanto Se Pyaar Kya To,
    Wo Toot Gaya

    Main Ne Janwaron Se Pyaar Kya To,
    Woh Meri Zaban Na Samjh Sakay

    Or Jab..Main Ne Insaan'On Se Pyaar Kya To,
    Woh Be-wafa Niklay

  • Jitna Tum Ko Chaaha Tha Hum Nay
    Utnaa Kisi Ko Chaah Na Sakay
    Socha Tha Bhool Jaaingay Kabhi Na Kabhi
    Lekin Najaanay Kyoun Bhulaa Na Sakay
    Honton Nay To Chupa Liye Armaan Dil Ke
    Lekin Ankhon Say Chupa Na Sakay

  • Roz Subha Khud Say Aik Waada Kartay Hain
    Tujhay Iss Dil Say Bhulanay Ka Irada Kartay Hain
    Apni He Baat Say Mukkarr Jatay Hain Maloom Nahi Kyoun
    Bheegti Ankhon Ko Khuwab Tornay Keliye Amaadah Kartay Hain

  • Mere Ashqon Ka Har Qatraa,
    Tere Mohabbat Ki Nishaani Hai,
    Jo Tu Samjhe To Moti Hai,
    Tu Na Samjhe To Paani Hai.

  • Janay Walun Se Pyar Mat Karna
    Ab Mera Intezar Mat Karna
    Mudatoon Baad Muskuraya Hun
    Ab Mujhe Soogawar Mat Karna
    Jo Bazahir Dehayi De Khamosh
    Aisay Darya Ko Paar Mat Karna
    Meri Janib Nikalnay Wala Koi
    Rasta Ab Ihtiyar Mat Karna
    Beyaqeeni Mein Mubtala Hun Main
    Ab Mera Aitbaar Mat Karna

  • Chahaton Ka Safar Umarr Se Lamba Hota Hai,
    Apno Ka Diya Zakham Sabsey Gehra Hota Hai.
    Ki Uss Zakham Ki Dawa To Woh Apna He De Gaya,
    Jo Bhool Kar Humein Nayi Duniyaa Basaney Chalaa.
    Ki Abb Na Chaheinge Kisi Ko Hum,
    Ki Khush Hain Iss Tanhayee Mein Hum

  • Chahaton Ka Safar Umarr Se Lamba Hota Hai,
    Apno Ka Diya Zakham Sabsey Gehra Hota Hai.
    Ki Uss Zakham Ki Dawa To Woh Apna He De Gaya,
    Jo Bhool Kar Humein Nayi Duniyaa Basaney Chalaa.
    Ki Abb Na Chaheinge Kisi Ko Hum,
    Ki Khush Hain Iss Tanhayee Mein Hum

  • Hum Ko Yeh Silaa Bhi Mohabbat Ka Mila Hai
    Hum Jis Ko Chahtay Hai, Ussay Hum Se Gila Hai

    Hum Naam Bhi Laitay Hai Toh Dartay Hai Qasam Se
    Affsoss Kay Har Baar Mera Ghar Hee Jala Hai

    Dil Chahta Hai Hum Bhi Zamaanay Ko Mithaa Dhay
    Dartay Hai Faqat Rub Se Kay Woh Apna Khuda Hai

    Woh Bhoool Bhi Jaaye Humay Toh Ghum Nahi Hai
    Chaaha Hai Jisay Dil, Woh Yaha Kis Ko Mila Hai

    Kaliyo Kee Tarah Hum Bhi Biker Jaaye Ge Aik Din
    Yeh Baat Hai Sachi Kay Yeh Qismat Ka Likhaa Hai
  • Dard Kitne Hain Bata Nahi Sakti
    Zakhm Kitne Hain Dikha Nhai Sakta
    Ankhon Se Samjh Sako To Samjh Lo
    Ansoon Gire Hain Kitne Gina Nahi Sakta
  • Unki Chahat Ko Apni Mohabbat Bana Ke Dekh
    Unki Hasi Ko Apne Hoton Se Muskurakar Dekh
    Unke Ashkon Ko Apni Ankhon Se Girakar Dekh
    Unki Bechainiyon Ke Apne Dil Main Basa Ker Dekh
    Ye Mohabbat Ek Hasin Tohfa Hai Ae Dost
    Kabhi Mohabbat Ko Is Tarah Bhi Nibhakar Dekh

  • Badli Saawan Ki Koi Jab Bhi Barasti Hogi.
    Dil Hi Dil Mein Woh Mujhe Yaad To Karti Hogi.

    Theek Se So Na Saki Hogi Khayalon Se Mere.
    Karvatein Raat Bhar Bistar Pe Badalti Hogi.

    Koshishen Jitni Bhi Ki Hongi Bhulaane Ki Mujhe.
    Yaad Utni Hi Meri Aur Ubharti Hogi.

    Dar Pe Aahat Si Hui Hogi Hawa Se Jab Bhi.
    Dhadkanen Dil Ki Bahot Tez Dhadakti Hogi.

    Khat Na Aane Ka Sabab Jaan Liya Hai Maine.
    Kahin Ruswai Na Ho Jaye, Wo Darti Hogi.

    Poochti Hogi Hawaon Se Mera Haal E Dil Woh
    Uski Galiyon Se Hawa Jab Bhi Guzarti Hogi.

    Apne Seene Se Laga Kar Meri Tasveer Ko Woh
    Aahen Raaton Ko Mere Pyar Mein Bharti Hogi.

    Jhooti Aane Ki Khabar Paake Woh Meri "Aamir".
    Kabhi Sajti To Kabhi Aur Sanwarti Hogi.

  • Sapno Ki Tarah Aakar Chale Gaye,
    Aapno Ko Bhulakar Chale Gaye,
    Kis Bhul Ki Saza De Unhone Humne,
    Phele Hasaye Phir Rulakar Chale Gaye.

  • Faslay Aese Bhi Hongay Kabhi Soocha Na Tha
    Samnay Betha Tha Woh Per Woh Mera Na Tha

    Woh To Khushbo Ki Terha Phaila Tha Merey Chaar Suu
    Mey Ussey Mahssuus Ker Sakta Tha Per Chuu Sakta Na Tha

    Raat Bher Siskion Se Aahat Kaan Mey Aati Rahi Meray
    Jhaankna Chaahta Tha Gali May Per Jhaank Sakta Na Tha

    Aaj Us Ne Apnay Dard Bhi Alag Ker Liye Mujh Say
    May Rona Chahta Tu Tha Magar May Ro Sakta Na Tha

    Ye Sabhi Weraaniya Ussi Ki Judaiye Se Theen
    Aankh Namkeen Tu Hoween Theen Magar Namak Ka Bahana Na Tha
  • Baarat teri bhi jaa rahi thi,

    baarat merei bhi jaa rahi thi.

    Phool tujhpe bhi pade the,

    phool mujhpe bhi pade the,

    farq sirf itna hi tha ki

    tu sasural jaa rahi thi

    aur mai samasan jaa raha tha

  • Is Hasrat Se Mila Kya Mujhko,
    Ik Jhalak Mere Dildaar Ki,

    Is Muhabbat Se Mila Kya Mujhko,
    Bechaini-o-beqarari Yaar Ki,

    Is Ashiqui Se Mila Kya Mujhko,
    Ik Sunahari Raah Ishq Ki,

    Aur Tere Pyaar Se Mila Kya Mujhko,
    Ik Raah Jeene Ki Hamvaar Si.

  • kaise bhul jau mai tuzko
    tumka to banaya hai maine apan
    tu mere pyar ko
    kaise samza baithi ek sapana

  • Chaha Tha Jise Woh Mila Hi Nahin
    Lakh Koshish Ki Lekin Yeh Fasla Mitta Hi Nahin



    Khuda Se Jholi Phela K Manga Tha Usse
    Khuda Ne Meri Kissi Dua Ko Suna Hi Hani


    Her Ek Se Pocha Terey Na Milney Ka Sabab
    Her Ek Ne Bataya Woh Terey Liye Bana Hi Nahin


    Kitni Shidat Se Chaha Tha Aur Woh Kissi Aur Ka Ho Gaya
    Shayad Is Jahan Mein Wafa Ka Silla Hi Nahin


    Merey Humnasheen Merey Hum Nawan Yeh Dua Hai Koi Gila Nahin
    Tujhe Zindagi Mein Woh Sukon Miley Jo Mujhe Kabhi Mila Hi Nahin

  • Tumhara Naam Likhney Ki Ijaazat Chin Gaee Jab Sey
    Qalam Haathoon Ko Bura Lagney Laga Hey

    Tumhein Dekhne Ki Ijaazat Chin Gaee Jab Sey
    Noor Aankhoon Ko Bura Lagney Laga Hey

    Tumhein Chooney Ki Ijaazat Chin Gaee Jab Sey
    Har Lams Merey Jism Ko Bura Lagney Laga Hey

    Tumhein Paaney Ki Ijaazat Chin Gaee Jab Sey
    Apna Hi Wojood Bura Lagney Laga Hey

    Tumhein Khoo Kar Bhi Jee Raha Hoon Jab Sey
    Naseeb Hi Apna Bura Lagney Laga Hey
  • Waqt Aaraha Hai Ab Judai Ka,
    Nata Hoga Khatam Ab Shanasai Ka,

    Beetay Din Gaye Mausam Say Beet Gaye,
    Safar Hoga Shuroo Ab Tanhai Ka,

    Bhool Ker Bhi Tujh Ko Bhulana Na Chaheingay,
    Janay Wo Wafa Ka Hoga Sisila Ya Bewafai Ka,

    Tumhara Hamara Nata Jo Bun Na Saka To Kiya,
    Jo Bundhan Bun Gaya So Wo Bhi Hai Sachai Ka,

    Tumhari Muskurahaton Ko Palkon Per Sajaliya Hum Nay,
    Sabab Wohi Bun Gaya Apni Ruswai Ka,

    Jis Ka Naam Ashkon Say Likha Dil Pay Aamir,
    Ussay To Rishta Tha Bus Judai Ka....
  • Shor Mein Khamoshi Talaash Karte Hai
    Har Chehre Mein Tera Chehra Talash Karte Hain..
    Har Lamha Tujhe Yaad Karte Hain
    Tum Miloge Nahi Par Ek Umeed Talaash Karte Hain..!!!
  • Wade Pe Wo Aitbaar Nahi Karte
    Hum Zikr-e-mohabbat Sare Baazar Nahi Kerte
    Darta Hai Dil Unki Ruswai Se
    Aur Wo Sochte Hai Hum Unse Pyaar Nahi Karte

  • Meri Deewangi Ko Galatna Samajhna,
    Maine Chaha Hai Tumhe Hadh Se Badhkar ,
    Meri Zindagi Se Kabhi Dur Na Jana,
    Maine Paya Hai Tumhe Kismat Ki Lakeeron Se Ladhkar...
  • Pyaar Karo Tu Dhoka Mat Dena,
    Aanso Ka Kisi Ko Taufa Mat Dena,
    Roye Koi Yumhain Yaad Kar Kay,
    Tum Kisi Ko Yeh Mauqa Mat Dena.

  • choti si galat fehmi karde gi juda hum ko
    halaat itnay badal jayenge, maloom na tha hum ko
    kya bas yeh rishta itna kamzor tha humara ?
    jisay chaha pal bhar mein toor diya is ko ...
    jo ek lamhay ke liye bhi door na hotey thai ..
    aaj le jana para unhein judai ke ghum ko ..
    kabhi apne hi rastey per bichaye thai hum ne phool .
    aaj kaantey bichaye khud hi jaga dee pathar ko...
    ab to aik dard aur takleef rehti hai is dil mein ..
    koi to aye ..marham lagaye is zakhm ko...

  • Khuusiyo par fizao ka pehra hai, na jane kis umeed pe dil thera hai, teri aakhon se jhalakte dard ki kasam, yeh rishta, pyar se bhi gehra hai.

  • CHEHRE KI MUSKAN BAN JATA HAI KOI, DIL KI DHADKAN BAN JATA HAI KOI, PHIR KAISE JIYE ZIONDAGI UNKE BINA, JAB ZINDAGI JINE KI WAJAH BAN JATA HAI KOI.

  • DIL KA ZAKHM ZUBAN PAR LAAYA NAHI KARTE, APNI AANKHO SE AASHQ BAHAYA NAHI KARTE, GHAAV KITNE HI GEHRE KYU NA HO, LABO SE MUSKURAHAT HATAYA NAHI KARTE.

  • kalam uthaon to tumarey liye likhon werna kalam ki zerooret muje nahi hai
    leb hilaon to tuje hi pukaroon werna lafzoon ki hajet muje nahi hai
    yeh dunia ik sunsaan bagh hai jiss main main gum shudda panchi hunmain chahty hun ke uruun to tumary hi bahoon main a ker giroon werna peroon ki zerooret muje nahi hai
    main jab be tumarey barey main sochty hun to nain bers pertey hain mery khawish hai ke ankhain nam hun to bas tumarey liye werna ansoon ki zerooret muje nahi hai
    mukhtasir yeh ke tum meray sat hreho werna kisi aor ki zeroore tmuje nahi hai mera payara waqas sada salamet rehay.

  • khuda ne jab ishq banaya hoga,
    apne aap par zaroor azmaya hoga,
    hum kya hai!!
    Hum to badnaseeb hain,
    Ish ishq ne us Khuda ko bhi rulaya hoga.......

  • ***jaane kiun main aansu baana nahi aata***
    ***jaane kiun haal-e-dil batana nahi aata***
    ***kiun saathi bichad jaate hain humesha humse**
    ***shayad humain hi saath nibhana nahi aata***



0 comments:

Post a Comment